jī meñ aatā hai ki ik roz ye manzar dekheñ
sāmne tujh ko biThā.eñ tujhe shab-bhar dekheñ
band hai shaam se hī shahr kā har darvāza
aa shab-e-hijr ki ab aur koī ghar dekheñ
aise ham dekhte haiñ dil ke ujaḌne kā samāñ
jis tarah dāsiyāñ jaltā huā mandar dekheñ
mere jañgal meñ hī mañgal kā samāñ hai paidā
shahr ke log mire gaañv meñ aa kar dekheñ