Saleem Betab

yun bane-sanwre hue se phul hain gulzar mein

Saleem Betab

Jalandhar, Punjab, India

1940-1974
yuuñ bane-sañvre hue se phuul haiñ gulzār meñ
sair ko niklī hoñ jaise laḌkiyāñ bāzār meñ
ye tirā husn-e-takallum ye tirā husn-e-bayāñ
TūTne lagte haiñ ā.īne tirī guftār meñ
kis ne pheñkā hai ye patthar zehn ke tālāb meñ
ek tūfāñ sā bapā hai ab mire afkār meñ
tere chehre par nazar aate haiñ apne hī nuqūsh
hai mirā dīdār bhī shāmil tire dīdār meñ
ik zamīñ kā chāñd phir hogā darīchoñ se tulūa
āsmāñ kā chāñd chhup jā.egā jab ashjār meñ
terī aamad āmad-e-fasl-e-bahārāñ ban ga.ī
phūloñ se khilne lage mere dar-o-dīvār meñ
mere sheroñ meñ na Dhal paatā tirā aks-e-jamīl
ye samundar kyā simaTtā kūza-e-izhār meñ
Top Urdushayar.com