Saleem Betab

fikr ka sabza mila jazbaat ki kai mili

Saleem Betab

Jalandhar, Punjab, India

1940-1974
fikr kā sabza milā jazbāt kī kaa.ī milī
zehn ke tālāb par kyā naqsh-ārā.ī milī
mutma.in hotā kahāñ merā dil-e-jalvat-pasand
darmiyān-e-shahr bhī jañgal sī tanhā.ī milī
dekhne meñ duur se vo kis qadar saada lagā
paas se dekhā to us meñ kitnī gahrā.ī milī
har darīcha mere istiqbāl ko vā ho gayā
ajnabī galiyoñ meñ bhī mujh ko shanāsā.ī milī
jab bhī habs-e-shahr se nikle to har ik raah par
mehrbāñ ahbāb kī mānind purvā.ī milī
is se baḌh kar aur kyā hotā safar kā iḳhtitām
Dūbte sūraj se har manzar ko ra.anā.ī milī
rābtoñ kī vus.ateñ harjā.ī-pan samjhī ga.iiñ
ham ko ai 'betāb' shohrat se bhī rusvā.ī milī
Top Urdushayar.com