phir surḳh phuul shahr ke peḌoñ meñ aa ga.e
rūhoñ meñ jitne zaḳhm the chehroñ meñ aa ga.e
har ik darīcha phuul se chehroñ se bhar gayā
ab to chaman bhī shahr kī galiyoñ meñ aa ga.e
dil meñ tire ḳhulūs ke dariyā the gar ravāñ
sho.ale kahāñ se phir tirī āñkhoñ meñ aa ga.e
ab dekhiyegā kis tarah uḌtī haiñ kirchiyāñ
patthar se log ā.ina-ḳhānoñ meñ aa ga.e
ham sāya-dār peḌ ke nīche haiñ zaḳhm zaḳhm
patthar kahāñ se reshmī pattoñ meñ aa ga.e
bas itne hī jarī the harīfān-e-āftāb
chamkī zarā sī dhuup to kamroñ meñ aa ga.e
'betāb' ab to lauT ke jaanā muhāl hai
ham gahre pāniyoñ ke jazīroñ meñ aa ga.e