har bulbul-e-mushtāq tah-e-dām hai ab bhī
phūloñ kī talab bā.is-e-ālām hai ab bhī
ik umr se go rasm-e-junūñ chhoḌ chukā hai
dīvāna tire shahr meñ badnām hai ab bhī
kahne ko to har samt bahāroñ kā samāñ hai
dil apnā to afsurda sar-e-shām hai ab bhī
muddat se kiye baiThe haiñ go tark-e-mohabbat
haañ bā.is-e-taskīn vahī naam hai ab bhī
kis aañkh se nazzāra kareñ lāla-o-gul kā
taqdīs-e-nazar bā.is-e-ilzām hai ab bhī
kuchh tujh ko ḳhabar hai bhī use bhūlne vaale
'betāb' ke hoñToñ pe tirā naam hai ab bhī