Zahid Shamsi

kisi manzar ke pas-manzar mein ja kar

Zahid Shamsi

kisī manzar ke pas-manzar meñ jā kar
chalo dekheñ kisī patthar meñ jā kar
ghane jañgal ne mujh par raaz kholā
nikal jaatā hai har Dar Dar meñ jā kar
ḳhud apnī zaat ho jaatī hai ma.adūm
ḳhud apnī zaat ke jauhar meñ jā kar
mire dil kī tamannā ban gayā hai
vo chehra merī chashm-e-tar meñ jā kar
simaT jaate haiñ mere saath mujh meñ
mire paañv mirī chādar meñ jā kar
tahayyur-ḳhez thī us kī fasāhat
vo jab bhī chup huā mimbar meñ jā kar
ye zinda shahr hai to kaise 'zāhid'
maiñ mar jaatā huuñ apne ghar meñ jā kar
Top Urdushayar.com