ājizī ko chalan kiye hue haiñ
ḳhaak apnā badan kiye hue huuñ
hijr ik mustaqil libās mirā
jis ko maiñ zeb-e-tan kiye hue huuñ
chand aañsū mirā asāsa haiñ
jin ko maiñ vaqf-e-fan kiye hue huuñ
aable ug rahe haiñ paañv meñ
dasht-e-sarv-e-suman kiye hue huuñ
ghar meñ rah kar bhī ghar nahīñ rahtā
ḳhud ko yuuñ be-vatan kiye hue huuñ
maut se pahle mar gayā huuñ maiñ
zindagī ko kafan kiye hue huuñ
us kā lahja karaḳht ho gayā hai
aur maiñ husn-e-zan kiye hue huuñ
ik tirī yaad hai jise 'zāhid'
apne dil kī chubhan kiye hue huuñ