ḳhvāb sitāre hote hoñge lekin āñkheñ ret
din dariyāoñ ke ham-jolī haiñ aur rāteñ ret
ek faqīr ne merī jānib dekhā aur phir maiñ
miTTī kī Dherī kī sūrat thā aur sāñseñ ret
maiñ sarsabz jazīre jaisā thā par dasht huā
us ne mujh se itnā kahā thā terī bāteñ ret
motī TūTne lagte haiñ jab patthar baat kareñ
ā.īnoñ ko dukh hotā hai jab ham boleñ ret
kabhī kabhī jī chāhtā hai ki tanhā kamre meñ
ham kāġhaz par ashk banā.eñ aur phir likkheñ ret
'zāhid' raat kī ḳhāmoshī meñ koī kahtā hai
dānish-vānish aqleñ-vaqleñ socheñ-vohcheñ ret