Rahat Indori

mere ashkon ne kai aankhon mein jal-thal kar diya

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950
mere ashkoñ ne ka.ī āñkhoñ meñ jal-thal kar diyā
ek pāgal ne bahut logoñ ko pāgal kar diyā
apnī palkoñ par sajā kar mere aañsū aap ne
rāste kī dhuul ko āñkhoñ kā kājal kar diyā
maiñ ne dil de kar use kī thī vafā kī ibtidā
us ne dhoka de ke ye qissa mukammal kar diyā
ye havā.eñ kab nigāheñ pher leñ kis ko ḳhabar
shohratoñ kā taḳht jab TuuTā to paidal kar diyā
devtāoñ aur ḳhudāoñ kī lagā.ī aag ne
dekhte hī dekhte bastī ko jañgal kar diyā
zaḳhm kī sūrat nazar aate haiñ chehroñ ke nuqūsh
ham ne ā.īnoñ ko tahzīboñ kā maqtal kar diyā
shahr meñ charchā hai āḳhir aisī laḌkī kaun hai
jis ne achchhe-ḳhāse ik shā.ir ko pāgal kar diyā
Top Urdushayar.com