Fazil Ansari

dil ke makan mein aankh ke aangan mein kuchh na tha

Fazil Ansari

dil ke makāñ meñ aañkh ke āñgan meñ kuchh na thā
jab ġham na thā hayāt ke dāman meñ kuchh na thā
ye to zarā batāo hameñ ahl-e-kārvāñ
un rahbaroñ meñ kyā hai jo rahzan meñ kuchh na thā
zulmat kā jab tilism na TuuTā nigāh se
raushan huā ki dīda-e-raushan meñ kuchh na thā
vo to bahār kā hameñ rakhnā paḌā bharam
varna ye vāqi.a hai ki gulshan meñ kuchh na thā
mujh par ba-taur-e-ḳhās thī us kī nigāh-e-lutf
kahtā maiñ kis tarah mire dushman meñ kuchh na thā
ye bhī durust hai ki nasheman meñ barq thī
ye bhī ġhalat nahīñ ki nasheman meñ kuchh na thā
'fāzil' ruḳh-e-hayāt pe yuuñ thiiñ masarrateñ
jaise ġham-e-hayāt kī uljhan meñ kuchh na thā
Top Urdushayar.com