ashk aayā aañkh meñ jaltā huā
aaj soz-e-ġham kā andāza huā
zindagī guzrī ummīd-o-yās meñ
dil kabhī gulshan kabhī sahrā huā
zikr-e-zulf-e-yār rahne do abhī
mas.ala hai ziist kā uljhā huā
ban gayā dāman meñ vo aañsū guhar
jo na merī aañkh kā taarā huā
bārhā ruk ruk ga.ī nabz-e-jahāñ
husn kā jaadū hai kyā chaltā huā
gardishoñ se kyā mujhe degā najāt
jaam ḳhud gardish meñ hai aayā huā
dil vo kyā jo ġham se ho nā-āshnā
ġham vo kyā jis kā ki andāza huā
ham pareshāñ-hāl 'fāzil' se mile
hai tabī.at kā bahut suljhā huā