Fazil Ansari

mere zaKHm-e-jigar ko zaKHm-e-daman-dar hona tha

Fazil Ansari

mire zaḳhm-e-jigar ko zaḳhm-e-dāman-dār honā thā
zarā vāzeh tumhāre lutf kā iz.hār honā thā
dil-e-pur-dāġh kī tārīkiyoñ par saḳht hairat hai
ye vo matl.a hai jis ko matla-e-anvār honā thā
tumheñ lenā thā pahle jā.eza apnī nigāhoñ kā
phir us ke ba.ad muusā tālib-e-dīdār honā thā
pareshāñ haiñ misāl-e-gard-gumnāmī ke sahrā meñ
bahut aise ki jin ko qāfila-sālār honā thā
udhar vo aa.e āñkhoñ meñ idhar ḳhvāb-e-ajal aayā
kahāñ soī huī taqdīr ko bedār honā thā
koī dekhe to 'fāzil' qābiliyyat bāġhbānoñ kī
vahāñ kāñTe hī kāñTe haiñ jahāñ gulzār honā thā
Top Urdushayar.com