zamzama-e-āh-o-fuġhāñ duur tak
gūñjtī hai vādī-e-jāñ duur tak
haa.e re vīrānī-e-rāh-e-hayāt
koī sadā hai na nishāñ duur tak
mil na sakā amn-o-sukūñ kā pata
DhūñD chukī umr-e-ravāñ duur tak
sham-e-tarab jalva-fagan ās-pās
mash.al-ġham nūr-fishāñ duur tak
simTe hue amn ke paiġhāmbar
phaile hue qātil-e-jāñ duur tak
shahr meñ dehāt meñ har raah meñ
ḳhuun kī ik jū-e-ravāñ duur tak
pūchh na 'fāzil' mirī duniyā kā rañg
aag har ik samt dhuāñ duur tak