tohfa-e-ġham bhī milā dard kī sauġhāt ke ba.ad
phir bhī dil ḳhush na huā itnī ināyāt ke ba.ad
umr-bhar DhūñDte phirte hī rahe apnā vajūd
ḳhud se ham mil na sake un se mulāqāt ke ba.ad
maiñ huuñ jab tak to samajh lījiye sab kuchh hai yahāñ
kuchh na rah jā.egā duniyā meñ mirī zaat ke ba.ad
kitnī tārīkiyāñ guzrīñ to ujālā dekhā
husn aayā hai nazar kitne hijābāt ke ba.ad
zindagī terī tavāzo.a bhī maiñ kartā lekin
na bachā kuchh bhī lahū ġham kī mudārāt ke ba.ad
haath aa.e hue lamhāt na chhoḌo varna
kuchh na haath aa.egā guzre hue lamhāt ke ba.ad
aa.egā daur-e-masarrat bhī yaqīnan 'fāzil'
kyā nahīñ hotī hai duniyā meñ sahar raat ke ba.ad