Fazil Ansari

adib tha na main koi baDa sahafi tha

Fazil Ansari

adiib thā na maiñ koī baḌā sahāfī thā
zamāna phir bhī mire fan kā e'tirāfī thā
mujhe bhī zahr diyā kyuuñ na haq-bayānī par
ki ye gunāh to nā-qābil-e-muāfī thā
kisī se ek bhī fitrat kā raaz khul na sakā
agarche daur zamāne kā inkishāfī thā
musībatoñ ne to nāhaq uThā.īñ taklīfeñ
mujhe miTāne ko merā shabāb kaafī thā
dil-o-nazar na ulajhte to hal nikal aatā
hazār mas.ala-e-dīd iḳhtilāfī thā
vo merī raa.e se to muttafiq thā ai 'fāzil'
zarīf-kār magar us kā inhirāfī thā
Top Urdushayar.com