ye daur kaisā hai yā-ilāhī ki dost dushman se kam nahīñ hai
ḳhulūs-e-har-rahbar-e-zamāna fareb-e-rahzan se kam nahīñ hai
huā to hai be-naqāb koī nazar hai mahrūm-e-dīd phir bhī
naqāb se hai sivā tajallī jamāl-e-chilman se kam nahīñ hai
lagā ke ḳhūn-e-jigar kā Tiikā hai sāmne ġham ke sar-ba-sajda
sanam-parastī meñ tū bhī ai dil kisī barahman se kam nahīñ hai
qafas ki hai ab mirā Thikāna zarūr hogā tabāh ik din
ki bijliyoñ kī nazar meñ ye bhī mire nasheman se kam nahīñ hai
misāl-e-ḳhurshīd jalva-gar hai jigar kā har ek dāġh-e-tābāñ
nazāra kar merī shām-e-ġham kā jo sub.h-e-raushan se kam nahīñ hai
ye ḳhushk be-rañg ḳhaar fāzil mire liye haiñ guloñ se behtar
mirī nazar meñ mirā bayābāñ kisī ke gulshan se kam nahīñ hai