gulzār meñ ek phuul bhī ḳhandāñ to nahīñ hai
kuchh aur hai ye daur-e-bahārāñ to nahīñ hai
hai chāk-ba-dāmāñ hī tū ai lāla-e-ḳhud-sar
gul terī tarah dāġh-ba-dāmāñ to nahīñ hai
achchhā hī huā Duub gayā merā safīna
ab kashmakash-e-sāhil-o-tūfāñ to nahīñ hai
taqdīr kī baat aur hai varna dil-e-muztar
ummīd ke bar aane kā imkāñ to nahīñ hai
is bār-e-garāñ kā hai uThānā bahut āsāñ
ġham hai kisī kam-zarf kā ehsāñ to nahīñ hai
pāmāl kare kyuuñ koī be-dard ki sabza
begāna sahī nañg-e-gulistāñ to nahīñ hai
qīmat mire aañsū kī faqat ek tabassum
shabnam kī tarah ye koī arzāñ to nahīñ hai
kyuuñ mujh pe nazar hai tirī ai gardish-e-daurāñ
hastī mirī duniyā meñ numāyāñ to nahīñ hai
kuchh daaġh haiñ kuchh zaḳhm haiñ 'fāzil' ke jigar meñ
muflis hai magar be-sar-o-sāmāñ to nahīñ hai