Fazil Ansari

wo barq ka ho ki maujon ke pech-o-tab ka rang

Fazil Ansari

vo barq kā ho ki maujoñ ke pech-o-tāb kā rañg
judā hai sab se mire dil ke iztirāb kā rañg
shaguftagī mujhe zaḳhm-e-jigar kī yaad aa.ī
chaman meñ dekh ke khilte hue gulāb kā rañg
kiyā na tark agar tark-e-āshiqī kā ḳhayāl
ḳharāb aur bhī hogā dil-e-ḳharāb kā rañg
lagā rahe haiñ vo nashtar se zaḳhm par marham
nigāh-e-lutf-e-karam meñ bhī hai itaab kā rañg
ye mai-kada to hai ḳhud inqalāb kī duniyā
yahāñ jamegā na duniyā ke inqalāb kā rañg
havādasoñ se jamāl-e-ruḳh-e-hayāt hai yuuñ
qarīb shaam ho jis tarah āftāb kā rañg
dil-e-tabāh kā 'fāzil' ḳhudā hī hāfiz hai
ki ab hai aur hī kuchh dard-o-iztirāb kā rañg
Top Urdushayar.com