huī dil TūTne par is tarah dil se fuġhāñ paidā
ki jaise sham.a ke bujhne se hotā hai dhuāñ paidā
rahā sābit-qadam yuuñ hī agar azm-e-safar apnā
karegī ḳhud rah-e-dushvār hī āsāniyāñ paidā
har ik ta.amīr ḳhud apnī tabāhī saath laatī hai
na girtī barq gar hotī na shāḳh-e-āshiyāñ paidā
mirī ḳhvāhish ki ik sajda miTā de nām-e-peshānī
tirī ḳhvāhish ho peshānī pe sajdoñ kā nishāñ paidā
vo jin kī maut par rote haiñ barsoñ jām-o-paimāna
ab aise bāda-kash hote haiñ ai saaqī kahāñ paidā
zarūrat kyā kareñ ham justajū-e-āstāñ ai dil
salāmat zauq-e-sajda aap hogā āstāñ paidā
nazar meñ jin kī rañgīnī tabī.at meñ hai ra.anā.ī
vo kar lete haiñ 'fāzil' dasht meñ bhī gulistāñ paidā