maiñ laakh kah duuñ ki ākāsh huuñ zamīñ huuñ maiñ
magar use to ḳhabar hai ki kuchh nahīñ huuñ maiñ
ajiib log haiñ merī talāsh meñ mujh ko
vahāñ pe DhūñD rahe haiñ jahāñ nahīñ huuñ maiñ
maiñ ā.inoñ se to māyūs lauT aayā thā
magar kisī ne batāyā bahut hasīñ huuñ maiñ
vo zarre zarre meñ maujūd hai magar maiñ bhī
kahīñ kahīñ huuñ kahāñ huuñ kahīñ nahīñ huuñ maiñ
vo ik kitāb jo mansūb tere naam se hai
usī kitāb ke andar kahīñ kahīñ huuñ maiñ
sitāro aao mirī raah meñ bikhar jaao
ye merā hukm hai hālāñki kuchh nahīñ huuñ maiñ
yahīñ husain bhī guzre yahīñ yazīd bhī thā
hazār rañg meñ Duubī huī zamīñ huuñ maiñ
ye būḌhī qabreñ tumheñ kuchh nahīñ batā.eñgī
mujhe talāsh karo dosto yahīñ huuñ maiñ