chamak sitāroñ kī nazroñ pe baar guzrī hai
na pūchh kaise shab-e-intizār guzrī hai
jo āñsuoñ kī nadī ḳhushk thī ka.ī din se
vo saath apne liye ābshār guzrī hai
maiñ ik dhuāñ thā ki uThtā gayā har ik dil se
jidhar se vo nigah-e-barq-bār guzrī hai
vahāñ se saath mirā sāthiyoñ ne chhoḌ diyā
jahāñ se rāhguzar ḳhārzār guzrī hai
ḳhudā kā shukr hai 'fāzil' ki zindagī apnī
ġhamoñ ke saath bahut ḳhush-gavār guzrī hai