Fazil Ansari

ai kahkashan guzar ke teri rahguzar se hum

Fazil Ansari

ai kahkashāñ guzar ke tirī rahguzar se ham
aage baḌheñge aur maqām-e-qamar se ham
azm-e-buland hausla-e-mustaqil liye
guzre har ek marhala-e-saḳht-tar se ham
dekhā to hai zamīñ se tujhe gumbad-e-falak
dekheñge ab zamīñ ko tire bām-o-dar se ham
jab se huī hai aañkh shab-e-ġham se āshnā
nā-āshnā haiñ lazzat-e-ḳhvāb-e-sahar se ham
dil iztirāb-o-dard se mahrūm ho gayā
baaz aa.e tere lutf-o-karam kī nazar se ham
har taaza ġham ke vāste jā-e-qayām hai
tañg aa ga.e haiñ vus.at-e-qalb-o-jigar se ham
tarġhīb de na ai dil-e-furqat-nasīb tū
vāqif haiñ ḳhuub āh-o-fuġhāñ ke asar se ham
'fāzil' hamārā haal bhī hotā tirī misāl
rahte na hoshiyār agar rāhbar se ham
Top Urdushayar.com