Fazil Ansari

na sanam-kadon ki hai justuju na KHuda ke ghar ki talash hai

Fazil Ansari

na sanam-kadoñ kī hai justujū na ḳhudā ke ghar kī talāsh hai
mire dil meñ bhar de jo bijliyāñ mujhe us nazar kī talāsh hai
haiñ bahut se aise bhī rāhzan jo mileñge ḳhizr ke bhes meñ
koī un se kah de ye ham-safar jinheñ rāhbar kī talāsh hai
tujhe chand roza ḳhushī milī to milā mujhe ġham-e-dā.imī
vo tirī nazar kī talāsh thī ye mirī nazar kī talāsh hai
mirī raah ye tirī raah vo mirā saath tujh se nibhegā kyā
ki mujhe hai dard kī justujū tujhe chāragar kī talāsh hai
Top Urdushayar.com