kohsāroñ meñ nahīñ hai ki bayābāñ meñ nahīñ
bāġhbāñ husn faqat tere gulistāñ meñ nahīñ
mauj-e-dariyā kī ravānī ki ghaTāoñ kā ḳhirām
kaun sī baat tirī zulf-e-pareshāñ meñ nahīñ
tujh se ho tark-e-jafā mujh se vafā.eñ chhūTeñ
vo tire bas meñ nahīñ ye mire imkāñ meñ nahīñ
ḳhair dhuñdlā.ī sī thī raushnī-e-shām-e-ḳhizāñ
bāġhbāñ vo bhī to is sub.h-e-bahārāñ meñ nahīñ
chhīn le sāqī-e-be-faiz ke hāthoñ se subū
riñd kyā aisā koī mahfil-e-rindāñ meñ nahīñ
uljhanoñ kā ho asar kyuuñ na sukūn-e-dil par
rabt kyā ham-nafaso sāhil-o-tūfāñ meñ nahīñ
ḳhanda-e-gul ho ki ho girya-e-shabnam 'fāzil'
dāstāñ ġham kī nihāñ kaun se unvāñ meñ nahīñ