bashar kī zaat meñ shar ke sivā kuchh aur nahīñ
ye baat naqs-e-nazar ke sivā kuchh aur nahīñ
hayāt kī shab-e-tārīk ḳhatm hotī hai
qazā tulū-e-sahar ke sivā kuchh aur nahīñ
jo dekhiye to kaf-e-gul-farosh bhī hai hayāt
ġhalat ki dāman-e-tar ke sivā kuchh aur nahīñ
guzar ke had se har ik shai bar-aks hotī hai
kamāl-e-aib-e-hunar ke sivā kuchh aur nahīñ
ye rañg jo nazar aatā hai chehra-e-gul par
hamāre ḳhūn-e-jigar ke sivā kuchh aur nahīñ
bashar hai jauhar-e-kirdār se garāñ-māya
guhar meñ āb-e-guhar ke sivā kuchh aur nahīñ
nazar-fareb nazāre jahāñ ke ai 'fāzil'
fareb-e-husn-e-nazar ke sivā kuchh aur nahīñ