batā ai zindagī tere parastāroñ ne kyā paayā
uThā kar naaz tere nāz-bardāroñ ne kyā paayā
vo kāñTe hī sahī kuchh to diyā ham ko bayābāñ ne
magar gulshan se phūloñ ke talab-gāroñ ne kyā paayā
zarā ma.alūm to kiije ḳhirad par marne vāloñ se
ki Thukrā kar junūñ ko in ziyāñ-kāroñ ne kyā paayā
kaleja terā phaT jā.egā vaa.iz fart-e-hairat se
batā duuñ maiñ agar tujh ko gunahgāroñ ne kyā paayā
bayābāñ ġham na kar be-faizī-e-abr-e-bahārāñ kā
tirā dāman hai gar ḳhālī to gulzāroñ ne kyā paayā
ġham-e-hastī ġham-e-jānāñ ġham-e-duniyā ġham-e-daurāñ
miTā kar mujh ko 'fāzil' in sitam-gāroñ ne kyā paayā