ḳhalā kī manzil-e-pāyāb kā patā bhī maiñ
aur apne aap meñ ik be-karāñ ḳhalā bhī maiñ
fazā ke siine meñ betāb shorisheñ mujh se
dil-e-vajūd kī ik āh-e-nā-rasā bhī maiñ
maiñ apnī shāḳh-e-ḳhamīda kā barg-e-shorīda
shajar kā jism bhī maiñ jism se judā bhī maiñ
tire vajūd ke idrāk tak pahuñchtī huī
yaqīñ kī guuñj bhī maiñ vahm kī havā bhī maiñ
mujhī se fikr-o-nazar ke sanam-kade raushan
aur apne aap ko ab tak na pā sakā bhī maiñ
jamāl-e-sub.h-e-sukūñ shām-e-iztirāb kā rañg
sukūt-e-zard bhī maiñ surḳhī-e-sadā bhī maiñ
varā-e-fahm hai mere tazād kā aalam
ki nok-e-ḳhār bhī maiñ aur barahna-pā bhī maiñ
mire sitam kī ḳharāsheñ mire hī chehre par
avadh kī shaam bhī maiñ aur hiroshima bhī maiñ
mire junūñ ke karishme mirī riyā ke tilism
ki vietnam bhī maiñ aur geneva bhī maiñ
ba-qaul-e-shā.ir-e-mashriq maiñ apnā qātil-e-jāñ
havā-e-tund bhī maiñ barg-e-be-navā bhī maiñ
zavāl-e-ādam-e-ḳhākī kī ibtidā mujh se
aur us kī azmat-e-paiham kā irtiqā bhī maiñ
mujhī ko chhū na sakī 'darwin' kī hadd-e-gumāñ
aur aaj ḳhalvat-e-mahtāb tak rasā bhī maiñ
mujhe to jaise vo an-dekhā rāstā na lagā
ḳhalā ke jāda-e-mānūs par chalā bhī maiñ
fanā kī mauj mirī ruuh ke makāñ se ḳhajil
asīr-e-vaqt bhī maiñ vaqt se varā bhī maiñ
hisār-e-jism ke dīvār-o-bām meñ mahbūs
hudūn-e-kaun-o-makāñ se guzar gayā bhī maiñ
gadā-e-nutq bhī maiñ ḳhāliq-e-azal ke huzūr
aur apne dard kī āvāz kā ḳhudā bhī maiñ
mire sharāra-e-fan se hai raushnī har sū
aur apne sho.ala-e-ehsās meñ jalā bhī maiñ
zabān-e-harf kī sehr-āfrīniyāñ mujh se
lab-e-ḳhayāl kī taqrīr-e-be-sadā bhī maiñ
maiñ us kī soch kā ik shāhkār bhī 'ḳhāvar'
aur us ke shauq kā dilchasp hadisā bhī maiñ