bikhrā ke ham ġhubār sā vahm-o-ḳhayāl par
pattoñ kī tarah Dolte phirte haiñ maal par
apne hī paañv bas meñ nahīñ aur yaar log
tanqīd kar rahe haiñ sitāroñ kī chaal par
ye maal āñchaloñ kā subuksār ābshār
sad-mauj-e-rañg-o-nūr hai lamhoñ kī faal par
bahte hujūm shaam ke lamhoñ kā sail ham
raqsāñ haiñ zehan jhūmte qadmoñ ke taal par
uljhe hue haiñ bahs meñ vāraftagān-e-shām
hai guftugū adab ke urūj-o-zavāl par
tai rah-guzār-e-pā hai na mauzū-e-guftugū
whiskey ke dhundalke haiñ javāb-o-savāl par
'ġhālib' kā zikr thā abhī 'shelley' par aa ga.e
pahuñche 'mallarme' se jalāl-o-jamāl par
jhoñkoñ ke saath saath koī tā.er-e-ḳhayāl
aa baiThtā hai zehan kī shādāb Daal par
gard-e-safar se pyaar hai manzil kā ġham nahīñ
yuuñ chal rahe haiñ rahguzar-e-māh-o-sāl par
chhā.e hue haiñ soch ke saa.e kahīñ kahīñ
chhiTkī huī hai chāñdnī bām-e-ḳhayāl par
har saaya apnī apnī guphā meñ luḌhak gayā
ham log ghūmte rahe sunsān maal par