Rafiq Khawar Jaskani

dard-o-gham zamane ke aur ek ji tanha

Rafiq Khawar Jaskani

dard-o-ġham zamāne ke aur ek jī tanhā
āñdhiyoñ meñ jaltī hai sham-e-zindagī tanhā
apnī apnī rāheñ haiñ apnī apnī manzil hai
kār-gāh-e-hastī meñ rahte haiñ sabhī tanhā
shab se dāġh-e-hijrāñ kā vāsta ajab shai hai
terī dilkashī tanhā merī bekalī tanhā
haa.e us zamāne meñ ahl-e-fan kī be-qadrī
mausam-e-zamistāñ meñ jaise chāñdnī tanhā
jaane dil kī dhaḌkan meñ kyā fareb hotā hai
tujh se baat karte haiñ ham kabhī kabhī tanhā
rahguzar pe sajtī hai apnī bazm-e-tanhā.ī
terī naqsh-e-pā tanhā merī be-ḳhudī tanhā
husn-o-ishq kī taqdīr ik tazād bāham hai
un kī shaam bhī mahfil apnī sub.h bhī tanhā
kaun kis kī suntā hai aise daur meñ 'ḳhāvar'
ham ne duur chheḌī hai ġham kī rāgnī tanhā
Top Urdushayar.com