muddat huī ḳhamoshī-e-iz.hār-e-hāl ko
āb-e-sadā hī dījiye dasht-e-ḳhayāl ko
phir ek shāḳh-e-zard girī ḳhaak ho ga.ī
phir barg-e-nau mile shajar-e-māh-o-māl ko
jhoñkā ye kis ke lams-e-gurezāñ kī tarah thā
ab hal hī karte rahiye havā ke savāl ko
ham-rañg-e-māhtāb thā vo is meñ kho gayā
ab kitnī duur pheñkiye nazroñ ke jaal ko
shab bhar havā ke rañg badalte rahe na.e
maiñ dekhtā rahā safar-e-bar-shaġhāl ko
jā.egā ḳhūn-e-shab na kisī taur rā.egāñ
muñh par malegī sub.h shafaq ke gulāl ko
jachte nahīñ nigāh meñ ḳhushiyoñ ke āftāb
dil DhūñDhtā hai kis ġham-e-zohra-e-jamāl ko
insāniyat ke dard kī āvāz ban sake
soz-e-navā se sīñchiye zaḳhm-e-ḳhayāl ko
diije phir āb-e-dīda-e-tar se hayāt-e-nau
fann-o-adab ke sabza-e-nau-pā.emāl ko