Rafiq Khawar Jaskani

KHizan ke zaKHm hawa ki mahak se bharne lage

Rafiq Khawar Jaskani

ḳhizāñ ke zaḳhm havā kī mahak se bharne lage
nigār-e-gul ke ḳhad-o-ḳhāl phir nikharne lage
ye sūkhe sahme shajar dekh march aane par
tere badan kī tarah shāḳh shāḳh bharne lage
ġham-e-hayāt phir aane lagī sadā-e-jaras
dayār-e-shab se tire qāfile guzarne lage
udaas raat ke darvāze vā haiñ jaise abhī
dar-e-nigāh se dil meñ koī utarne lage
sarāb-e-dasht-e-tamannā se kaun guzrā hai
ki chashma-e-ġham-e-dil buuñd buuñd jharne lage
ye jhilmilāte sitāre ye zakhm-e-sīna-e-shab
ufuq ke pahle ujāle se jaise bharne lage
nujūm-e-shab kī zabāñ par hai gufta-e-'iqbāl'
vo phir se ādam-e-ḳhākī kī baat karne lage
zamīñ se duur bhī ab naqsh-e-pā-e-insāñ se
ka.ī jahān ḳhalā meñ na.e ubharne lage
vo abr-e-rāh-guzar kī tahoñ meñ Duubā chāñd
havā chale to abhī tair kar ubharne lage
hai us ke aks kī tajsīm mere fan se varā
vo aa.ine ki sadā kī tarah bikharne lage
vo abr ho ki dhanak ho koī to ho 'ḳhāvar'
fazā ke shāne pe jo zulf sā sañvarne lage
Top Urdushayar.com