Naseem Shahjahanpuri

qalb-e-warafta mohabbat mein kahin aisa na ho

Naseem Shahjahanpuri

Junagarh, Gujarat, India

1937

qalb-e-vārafta mohabbat meñ kahīñ aisā na ho

jis ko apnā samajhtā hai vahī begāna ho

har sitam par muskurānā merī fitrat hai magar

dekhiye is zabt anjām kyā ho kyā na ho

maiñ ne maanā aap ne sab kuchh bhulā Daalā magar

ġhair-mumkin hai kabhī merā ḳhayāl aatā na ho

husn ko ye ġham ki jalve ho rahe haiñ be-naqāb

ishq ko ye fikr nāmūs-e-nazar rusvā na ho

shauq se bhuul ai bhūlne vaale magar

is taġhāful meñ koī pahlū tavajjoh na ho

gir gayā un nigāhoñ se dil-e-ḳhāna-ḳharāb

merī nazroñ se bhī gir jaa.e kahīñ aisā na ho

bahar-e-takmīl-e-nazarā ye bhī lāzim hai 'nasīm'

mere un ke darmiyāñ haa.il koī pardā na ho

Top Urdushayar.com