mānūs ho chuke haiñ tire āstāñ se ham
ab zindagī badal ke uTheñge yahāñ se ham
tanhā.iyāñ diloñ kī bhalā kis tarah miTeñ
kuchh ajnabī se aap haiñ kuchh bad-gumāñ se ham
ab ālam-e-sukūt hī rūdād-e-ishq hai
kuchh arz-e-hāl kar nahīñ sakte zabāñ se ham
hai rāz-e-bahar-e-ishq ajab hairat-āfrīñ
ye dekhnā hai Duub ke ubhreñ kahāñ se ham
barbād baar baar nasheman huā magar
ġhāfil haiñ aaj tak nigah-e-bāġhbāñ se ham
miltā kisī nazar kā sahārā agar hameñ
thakte na yuuñ hayāt ke bār-e-girāñ se ham
hāsil huā vo lutf asīrī meñ ai 'nasīm'
tā umr be-niyāz rahe āshiyāñ se ham