husn maa.il ba-sitam ho to ġhazal hotī hai
ishq bā-dīda-e-nam ho to ġhazal hotī hai
phuul barsā.eñ ki vo hañs ke girā.eñ bijlī
koī bhī ḳhaas karam ho to ġhazal hotī hai
kabhī duniyā ho kabhī tum kabhī taqdīr ḳhilāf
roz ik taaza sitam ho to ġhazal hotī hai
dāman-e-zabt chhuTe chuur ho yā shīsha-e-dil
hādsa koī aham ho to ġhazal hotī hai
shikan-e-gesū-e-daurāñ hī pe mauqūf nahīñ
un kī zulfoñ meñ bhī ḳham ho to ġhazal hotī hai
chārāgar laakh kareñ koshish-e-darmāñ lekin
dard is par bhī na kam ho to ġhazal hotī hai
rāz-e-taḳhlīq-e-ġhazal ham ko hai ma.alūm 'nasīm'
jaam ho mai ho sanam ho to ġhazal hotī hai