Naseem Shahjahanpuri

main hun teri nigah mein tu hai meri nigah mein

Naseem Shahjahanpuri

Junagarh, Gujarat, India

1937
maiñ huuñ tirī nigāh meñ tū hai mirī nigāh meñ
ishq bhī hai panāh meñ husn bhī hai panāh meñ
jin kī talab thī mo'tabar mil ga.iiñ un ko manzileñ
jin kī talāsh ḳhaam hai aaj bhī haiñ vo raah meñ
paas bhī haiñ vo duur bhī qurb bhī hai firāq bhī
kitnā hasīñ hai fāsla mere dil o nigāh meñ
ishq hai vaj.h-e-do-jahāñ ishq hai rūh-e-do-jahāñ
ḳham hai jabīn-e-bandagī ishq kī bārgāh meñ
zabt-e-alam ke imtihāñ dār-o-rasan ke marhale
kaun sī mushkileñ nahīñ ahl-e-vafā kī raah meñ
zohd ho kyuuñ na be-asar taqvā ho kyuuñ na rā.egāñ
kaif hī kaif hai tire mai-kada-e-nigāh meñ
palkoñ pe jab jale charāġh aa.iiñ 'nasīm' āñdhiyāñ
kitnā hasīn rabt hai ashk meñ aur aah meñ
Top Urdushayar.com