is liye jafāoñ par mujh ko muskurānā thā
aur us sitam-gar kā hausla baḌhānā thā
āñsuoñ kī qīmat jab motiyoñ se baḌh kar thī
vo mirī mohabbat kā aur hī zamānā thā
jab sitam se Darte the ab karam se Darte haiñ
ye bhī ik zamāna hai vo bhī ik zamānā thā
zindagī ne luuTā hai zindagī ko dānista
maut se shikāyat kyā maut kā bahānā thā
vo bhī daur guzrā hai jab mirī vafāoñ se
aap hī nahīñ tanhā bad-gumāñ zamānā thā
ai 'nasīm' gulshan meñ jab bahār ke din the
dosh par fazāoñ ke merā āshiyānā thā