raat kī dhaḌkan jab tak jaarī rahtī hai
sote nahīñ ham zimmedārī rahtī hai
jab se tū ne halkī halkī bāteñ kiiñ
yaar tabī.at bhārī bhārī rahtī hai
paañv kamar tak dhañs jaate haiñ dhartī meñ
haath pasāre jab ḳhuddārī rahtī hai
vo manzil par aksar der se pahuñche haiñ
jin logoñ ke paas savārī rahtī hai
chhat se us kī dhuup ke neze aate haiñ
jab āñgan meñ chhāñv hamārī rahtī hai
ghar ke bāhar DhūñDhtā rahtā huuñ duniyā
ghar ke andar duniyā-dārī rahtī hai