Naseem Shahjahanpuri

kisi ke ishq mein ye haal-e-zar rahta hai

Naseem Shahjahanpuri

Junagarh, Gujarat, India

1937
kisī ke ishq meñ ye hāl-e-zār rahtā hai
sukūn pā ke bhī dil be-qarār rahtā hai
vo mai-kade meñ bahut bā-vaqār rahtā hai
jo be-ḳhudī meñ bhī kuchh hoshyār rahtā hai
mujhe bahār-e-gulistāñ pe naaz ho kyūñkar
mirī nazar meñ ma.āl-e-bahār rahtā hai
dil-e-hazīñ ġham-e-daurāñ se āshnā na sahī
tumhāre ġham se magar ham-kanār rahtā hai
koī to baat hai aisī ki un ke va.adoñ par
ḳhulūs-e-dil se mujhe e'tibār rahtā hai
ba-faiz-e-josh-e-junūñ ab maiñ us maqām pe huuñ
jahāñ junūñ hī mirā rāz-dār rahtā hai
ye jāntā huuñ na aa.e haiñ vo na ā.eñge
'nasīm' phir bhī mujhe intizār rahtā hai
Top Urdushayar.com