na armāñ le ke aayā huuñ na hasrat le ke aayā huuñ
dil-e-betāb meñ terī mohabbat le ke aayā huuñ
nigāhoñ meñ tire jalvoñ kī kasrat le ke aayā huuñ
ye aalam hai ki ik duniyā-e-hairat le ke aayā huuñ
laboñ par ḳhāmushī āñkhoñ meñ aañsū dil meñ betābī
maiñ un kī bazm-e-ishrat se qayāmat le ke aayā huuñ
sar-e-mahshar agar pursish huī mujh se to kah dūñgā
sarāpā jurm huuñ ashk-e-nadāmat le ke aayā huuñ
miTā kar hasti-e-nākām ko rāh-e-mohabbat meñ
zamāne ke liye ik dars-e-ibrat le ke aayā huuñ
talāsh-e-sāhil-e-maqsad jahāñ be-sūd hotī hai
maiñ un maujoñ meñ ik paiġhām-e-rāhat le ke aayā huuñ