Naseem Shahjahanpuri

tanhai ke lamhat ka ehsas hua hai

Naseem Shahjahanpuri

Junagarh, Gujarat, India

1937
tanhā.ī ke lamhāt kā ehsās huā hai
jab tāroñ bharī raat kā ehsās huā hai
kuchh ḳhud bhī huuñ maiñ ishq meñ afsurda o ġhamgīñ
kuchh talḳhi-e-hālāt kā ehsās huā hai
kyā dekhiye un tīra-nasīboñ kā ho anjām
din meñ bhī jinheñ raat kā ehsās huā hai
vo zulm bhī ab zulm kī had tak nahīñ karte
āḳhir unheñ kis baat kā ehsās huā hai
bāzī-gah-e-ālam meñ to ik khel hai jiinā
is khel meñ kab maat kā ehsās huā hai
ruḳh par tire bikhrī huī zulfoñ kā ye aalam
din kā to kabhī raat kā ehsās huā hai
kuchh ḳhud bhī vo nādim haiñ 'nasīm' apnī jafā par
kuchh merī shikāyāt kā ehsās huā hai
Top Urdushayar.com