Naseem Shahjahanpuri

ghunchon ke tabassum par hum ghaur nahin karte

Naseem Shahjahanpuri

Junagarh, Gujarat, India

1937
ġhunchoñ ke tabassum par ham ġhaur nahīñ karte
ḳhāmosh takallum par ham ġhaur nahīñ karte
Duube ki rahe kashtī dariyā-e-mohabbat meñ
tūfān o talātum par ham ġhaur nahīñ karte
kaliyoñ ke tabassum kī taqlīd to karte haiñ
anjām-e-tabassum par ham ġhaur nahīñ karte
un ke ruḳh-e-tābāñ kī dekhī hai jhalak jab se
mehr o mah o anjum par ham ġhaur nahīñ karte
ġham ho ki ḳhushī donoñ yaksāñ haiñ mohabbat meñ
kuchh ashk o tabassum par ham ġhaur nahīñ karte
jab tak ki mohabbat meñ dil dil se nahīñ miltā
nazroñ ke tasādum par ham ġhaur nahīñ karte
ash.ār-navāzī hī sheva hai 'nasīm' apnā
shā.ir ke tarannum par ham ġhaur nahīñ karte
Top Urdushayar.com