miTTī ke alāva haiñ kahāñ ham se kahīñ aur
aflāk-nashīñ aur haiñ ham ḳhāk-nashīñ aur
ye kis kī sarā.e hai shab-o-roz jahāñ se
ik jaa.e musāfir to ik aa jaa.e makīñ aur
tujh husn-e-mukammal meñ qayāmat kī kashish hai
yūsuf to hazāroñ haiñ magar tujh sā nahīñ aur
maiñ jaan kī baazī bhī lagā duuñ ai zamāne
gar DhūñD ke lā de to mohammad sā amiiñ aur
'rājas' kī tabī.at pe ajab terā asar hai
rahtā huuñ kahīñ aur maiñ hotā huuñ kahīñ aur