Buta Khan Rajas

haq baat pe marta hun to marne nahin dete

Buta Khan Rajas

haq baat pe martā huuñ to marne nahīñ dete
ye ahl-e-jahāñ kuchh bhī to karne nahīñ dete
us paar kī bāteñ to bahut karte haiñ lekin
kashtī koī is paar utarne nahīñ dete
har jurm mire naam kiye jaate haiñ lekin
ḳhud par koī ilzām vo dharne nahīñ dete
hai fikr unheñ mar ke bhī maiñ zinda rahūñgā
ye soch ke zālim mujhe marne nahīñ dete
is dahr ke maqtal meñ bapā zulm hai aisā
mazlūm ko fariyād bhī karne nahīñ dete
manzil hai kaḌī aisī kaḌī bhī to nahīñ hai
vo rāh-numā haiñ ki guzarne nahīñ dete
'rājas' unheñ da.avā hai bahut chāragarī kā
riste hue zaḳhmoñ ko jo bharne nahīñ dete
Top Urdushayar.com