pal bhar ko jis meñ chain na aa.e chhoḌ do us kāshāne ko
gulshan hī jab ki raas nahīñ ābād karo vīrāne ko
hijr kī raat thī itnī lambī kaaTe se naañ kaTtī thī
ġham kī jot jagā.ī maiñ ne is dil ke bahlāne ko
kyā kyā ne.amat baḳhshī hai us pyāre ne ye mat pūchho
dard diyā kuchh daaġh diye aur ashk diye pī jaane ko
koī to ta.abīr batā.e ḳhvāb ik maiñ ne dekhā hai
masjid ko sab riñd chale aur shaiḳh chale maiḳhāne ko
āñdhī aur tūfān bhī is ko rok sake na rāhoñ meñ
duur se aayā hai parvāna sham.a hī par miT jaane ko
ūñchī nīchī tirchhī TeḌhī sab rāheñ jo dekh chukā
kaun aa kar samjhā.egā ab is 'rājas' dīvāne ko