Buta Khan Rajas

jo log ujale ka sab ko paigham sunane aate hain

Buta Khan Rajas

jo log ujāle kā sab ko paiġhām sunāne aate haiñ
in shab-zādoñ kī nagrī meñ vo suulī par chaḌh jaate haiñ
ai mere ḳhudā kuchh tū hī batā ye daur-e-alam kab guzregā
is bastī meñ to musannif bhī sach kahne se ghabrāte haiñ
is duniyā meñ apnī ḳhātir ik lamha bhī ḳhushiyoñ kā nahīñ
fariyād ki bas ab ham hī haiñ jo rañj pe rañj uThāte haiñ
is shahr ke jitne baasī haiñ vo gūñge bahre haiñ varna
un par bhī khule ye ahl-e-qalam likhte haiñ yā chillāte haiñ
is daur ke baad jo daur nayā duniyā meñ aane vaalā hai
ham 'rājas' chup kī pastī meñ us daur ke naġhme gaate haiñ
Top Urdushayar.com