vaar bharpūr kiyā us ne anā par merī
ḳhud bhī maġhmūm huā āh-o-bukā par merī
vaqt-e-āḳhir bhī tirī ḳhair ḳhudā se māñgī
zindagī ḳhatm huī harf-e-duā par merī
sach batā ishq mujhe saḳht pareshāñ huuñ maiñ
kyuuñ ḳhafā hotā nahīñ dost ḳhatā par merī
reza reza hai mirī jaan talab meñ jis kī
us ko tashkīk hai afsos-e-vafā par merī
us ke hāthoñ kī nafāsat pe girāñ thī mehñdī
aa ga.ī yaad use rasm-e-hinā par merī
rañg ġhālib na sahī rañj-e-mohabbat hī sahī
ḳhush nazar aate haiñ naqqād navā par merī
us kā iḳhlās musallam hai ḳhudā ḳhair kare
dost pahuñchā nahīñ 'tanvīr' sadā par merī