Shah Naseer

KHuda ke waste chehre se Tuk naqab uTha

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
ḳhudā ke vāste chehre se Tuk naqāb uThā
ye darmiyān se ab parda-e-hijāb uThā
ye kaun bāda-parastī hai ai but-e-bad-mast
uThā jo bazm se terī so ho kabāb uThā
mutāle.e se tire bait-abrūoñ ke shoḳh
rakkhī hai shaiḳh ne ab taaq par kitāb uThā
basān-e-naqsh-e-qadam jis ne pā-turāb kiyā
vo rāh-e-ishq meñ miT kar ġharaz shitāb uThā
ba-chashm-e-tar hī koī dam tū baiTh varna abas
tū ek dam ke liye bahr se hubāb uThā
piyā hai shīsha-e-gardūñ se jis ne ik jur.a
misāl-e-jām vo bā-dīda-e-pur-āb uThā
'nasīr' shor na kar fitna hovegā barpā
ḳhudā-na-ḳhvāsta ab gar vo mast-e-ḳhvāb uThā
Top Urdushayar.com