Shah Naseer

is dil ko ham-kanar kiya humne kya kiya

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
is dil ko ham-kanār kiyā ham ne kyā kiyā
dushman ko dost-dār kiyā ham ne kyā kiyā
rahtā yahī hai dil meñ shash-o-panj-e-yār se
ā.īna kyuuñ do-chār kiyā ham ne kyā kiyā
muTThī bharam kī ġhuncha-sifat is chaman meñ khol
asrār āshkār kiyā ham ne kyā kiyā
dar-parda dostī huī ham apne haq meñ aah
mutrib-pisar ko yaar kiyā ham ne kyā kiyā
islām bhī ba-jabr thā ai shaiḳh-o-barhaman
kyuuñ jabr iḳhtiyār kiyā ham ne kyā kiyā
tasbīh to paḌī thī gale ek dūsrī
zunnār ko bhī haar kiyā ham ne kyā kiyā
dil ko dukhā ke chīn-e-jabīn-e-parī-vashāñ
juuñ barq be-qarār kiyā ham ne kyā kiyā
kahne lagā vo qabr pe āshiq kī kyuuñ guzar
sahvan sar-e-mazār kiyā ham ne kyā kiyā
haihāt āshnā the jo mauj-e-balā ke pech
un kā na intizār kiyā ham ne kyā kiyā
bahr-e-jahāñ se dīda-o-dānista juuñ hubāb
bā-chashm-e-tar guzār kiyā ham ne kyā kiyā
dasht-e-junūñ se toḌ ke rishte ko jeb ke
dāmāñ bhī taar kiyā ham ne kyā kiyā
us sarv-qad ke ishq meñ ye phal milā 'nasīr'
har sad aah vaar kiyā ham ne kyā kiyā
Top Urdushayar.com