Shah Naseer

subh-e-gulshan mein ho gar wo gul-e-KHandan paida

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
sub.h-e-gulshan meñ ho gar vo gul-e-ḳhandāñ paidā
baiza-e-ġhuncha se ho bulbul-e-nālāñ paidā
ashk hai ham-rah-e-āh-e-dil-e-sozāñ paidā
kyā tamāshā hai ki ātish se hai bārāñ paidā
hai ajab kaar numāyāñ tire chashm o lab se
pal meñ mar jaate haiñ ham dam meñ haiñ phir haañ paidā
qad tirā ai but-e-gul-posh ho gar sāya-fagan
to qayāmat ho sar-e-ḳhāk-e-shahīdāñ paidā
le uḌā baad ke mānind pa paanī saaqī
kashtī-e-mai huī juuñ taḳht-e-sulaimāñ paidā
huuñ vo majnūñ ki kare hai mirī pā-bosī ko
silsila halqa-e-chashmān-e-ġhazālāñ paidā
hañs ke dandāñ ko dikhā do to na shabnam se sahar
dahan-e-ġhuncha kare baaġh meñ dandāñ paidā
zulf o ḳhat dekh tire ruḳh pe na kyuuñ hairāñ hoñ
chashma-e-mahr meñ haiñ sumbul-o-raihāñ paidā
kyā ġhazab hai ye tire dāman-e-mizhgāñ kī jhapak
ishq ke dil se huī ātish-e-pinhāñ paidā
tujh ko duuñ huur se nisbat to ye merā hai qusūr
ki jahāñ meñ nahīñ tujh sā koī insāñ paidā
terī ḳhidmat ko paristāñ meñ banī haiñ pariyāñ
aur ġhulāmī ke liye haiñ tirī ġhilmāñ paidā
Turfa-tar likh ġhazal is bahr meñ ik aur 'nasīr'
karte haiñ gauhar-e-ma.anī ko suḳhan-dāñ paidā
Top Urdushayar.com