Shah Naseer

nikhat-e-gul hain ya saba hain hum

Shah Naseer

Delhi, India

1756-1838
nik.hat-e-gul haiñ yā sabā haiñ ham
nahīñ ma.alūm kuchh ki kyā haiñ ham
rū-shanāsī hai ham ko ā.īna-sāñ
ek aalam se āshnā haiñ ham
ḳhāksārī se bazm-e-ālam meñ
safha-e-naqsh-e-boriyā haiñ ham
hai hamīñ se vo shāhid-e-ma.anī
harf-e-matlab ke mudda.ā haiñ ham
jām-e-mai sāqiyā shitābī de
kaun kahtā hai pārsā haiñ ham
sham.a-sāñ hai darāz rishta-e-umr
ki fanā hone se baqā haiñ ham
tere kūcha talak kī tāqat hai
nahīñ itne shikasta-pā haiñ ham
bāñg-e-sañkh aur nāla-e-nāqūs
kahe hamdam jo kam-numā haiñ ham
chashm kyā kiije vā ba-rañg-e-hubāb
turfat-ul-ain meñ havā haiñ ham
nargisī chashm thā vo kāfir aah
jis ke bīmār-o-mubtalā haiñ ham
nāznīnān-e-dahr ke har dam
kushta-e-ġhamza-o-adā haiñ ham
ai vafā tū kidhar hai ho dam-sāz
kushta-e-ḳhanjar-e-jafā haiñ ham
chashm-e-bad-dūr kyā ġhazal hai 'nasīr'
ḳhuub is fan meñ marhabā haiñ ham
Top Urdushayar.com